Muslim Girls Rights in Islam – Islam mein Muslim ladkiyon ke haq ka asli sach kya hai
Islam ek aisa dharm hai jo sirf ibadat tak seemit nahi balki poori zindagi ke liye ek mukammal lifestyle provide karta hai, aur jab baat Muslim ladkiyon ke haq (rights) ki aati hai, to logon ke dimaag mein aksar galat dharna ban jaati hai ki Islam ladkiyon ko piche rakhta hai ya unki freedom ko dabata hai. Lekin agar hum sachai ko Quran aur Hadees ke roshni mein samjhein, to pata chalta hai ki Islam ne 1400 saal pehle hi ladkiyon ko woh sab haq diye jo duniya ke modern law ne abhi kuch saalon pehle dena shuru kiya hai. Sabse pehla aur sabse important haq hai education ka, jahan Prophet Muhammad ﷺ ne farmaya: “Ilm hasil karna har ek Muslim mard aur aurat par farz hai” – iska matlab yeh hua ki ladki ya ladka dono ke liye taleem lena barabar zaroori hai. Aaj bhi agar koi Muslim ladki ko school ya college jaane se roka jaa raha hai, to samajhna chahiye ki yeh Islam nahi balki society ka cultural pressure hai jo Islam ke khilaf hai. Islam har ladki ko ilm hasil karne ka pura haq deta hai – chahe wo school ho, college ho ya Islamic studies.
Islam ne Muslim ladkiyon ko maalikiyat (property) aur virasat (inheritance) ka bhi pura haq diya hai. Surah An-Nisa mein Allah ne yeh saaf saaf bata diya ki ek ladki ko virasat mein kya milega, aur yeh tab diya gaya jab duniya mein aurton ka kisi bhi property par haq maana hi nahi jaata tha. Aaj bhi agar ladkiyon ko virasat nahi milti to yeh sirf unke relatives ki jahalat hai, Islam ki teaching nahi. Ek Muslim ladki ka nikah uski raza ke bina kabhi nahi ho sakta, yeh bhi Islam ne pehle se clear kar diya. Prophet Muhammad ﷺ ke zamanay mein ek ladki ne complain kiya tha ki uska nikah uski raza ke bina karwa diya gaya, to Prophet ne turant us nikah ko cancel kar diya – yeh sabit karta hai ki Muslim ladki ke paas apne shaadi ke faisle ka pura haq hota hai. Forced marriage ya zabardasti ka rishta Islam mein haram hai. Ladki ki raza zaroori hai.
Ab baat karte hain Hijab ya purdah ki – jise aksar log sirf restriction ya pressure samajh lete hain. Jabki asal mein hijab ek Muslim ladki ka haq hai jo uski izzat, tahzeeb aur identity ko protect karta hai. Lekin Quran mein yeh bhi likha hai “La ikraaha fid-deen” – yani deen mein koi zabardasti nahi, to agar koi Muslim ladki hijab karti h